baat apne dil ki wo mujhko batata kyon nahin
baat apne dil kī vo mujh ko batātā kyoñ nahīñ
pyaar gar kartā hai mujh se to jatātā kyoñ nahīñ
ek muddat ho ga.ī pahchān ko us se mirī
ḳhvāb meñ ab bhī bhalā milne vo aatā kyoñ nahīñ
maiñ use apne jigar meñ dhaḌkanoñ sā rakhtā huuñ
saañs meñ sargam sā mujh ko vo basātā kyoñ nahīñ
chāñd ne pūchhā thā mujh se ye batānā to zarā
pahle sā tū yaar mere muskurātā kyoñ nahīñ
sab kī bāteñ sunñe kī fursat to rahtī hai use
phir mirī bātoñ pe us kā dhyān jaatā kyoñ nahīñ
shaam bhī hai jaam bhī hai haiñ mire sab yaar bhī
chaa.e sā dil se mire vo yaar jaatā kyoñ nahīñ
baat apne dil ki wo mujh ko batata kyon nahin
pyar gar karta hai mujh se to jatata kyon nahin
ek muddat ho gai pahchan ko us se meri
KHwab mein ab bhi bhala milne wo aata kyon nahin
main use apne jigar mein dhaDkanon sa rakhta hun
sans mein sargam sa mujh ko wo basata kyon nahin
chand ne puchha tha mujh se ye batana to zara
pahle sa tu yar mere muskuraata kyon nahin
sab ki baaten sunne ki fursat to rahti hai use
phir meri baaton pe us ka dhyan jata kyon nahin
sham bhi hai jam bhi hai hain mere sab yar bhi
chae sa dil se mere wo yar jata kyon nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.