baat apnon ki karun main kisi begane se
baat apnoñ kī karūñ maiñ kisī begāne se
kyuuñ bahak jaate ho tum ġhair ke bahkāne se
raaz kī baat hai pūchho kisī dīvāne se
uqda-e-ishq khulā kab kisī farzāne se
kyā kahe un se koī dil kī tamannā kyā hai
jaan kar bhī jo bane rahte haiñ anjāne se
aan kī aan meñ jal-bujh ke huā ḳhākistar
kyā kaheñ kah diyā kyā sham.a ne parvāne se
ai 'shafaq' uqda-e-hastī kā sulajhnā mālūm
jo ulajh jaatā hai kuchh aur bhī suljhāne se
baat apnon ki karun main kisi begane se
kyun bahak jate ho tum ghair ke bahkane se
raaz ki baat hai puchho kisi diwane se
uqda-e-ishq khula kab kisi farzane se
kya kahe un se koi dil ki tamanna kya hai
jaan kar bhi jo bane rahte hain anjaane se
aan ki aan mein jal-bujh ke hua KHakistar
kya kahen kah diya kya shama ne parwane se
ai 'shafaq' uqda-e-hasti ka sulajhna malum
jo ulajh jata hai kuchh aur bhi suljhane se
- Book : Mauj-e-shafaq (Pg. 24)
- Author : Dr. Gopal Krishn Shafaq
- Publication : Dr. Gopal Krishn Shafaq (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.