baat bachchon ki thi laDne ko siyane nikle
baat bachchoñ kī thī laḌne ko siyāne nikle
phir ajab kyā hai ki bachche bhī laḌāke nikle
dhyān maañ rakhtī thī merā vo zamāne nikle
haiñ yuuñ ab roz savere se kamāne nikle
aam ke baaġh se jab se haiñ parinde ġhā.eb
ba.ad us ke kahāñ phir aam rasīle nikle
poTlī jis ke liye laḌtī rahīñ aulādeñ
maañ kī us poTlī meñ sirf jharoke nikle
ye to kal-yug hai kharā is meñ nahīñ haiñ koī
mujh ko shikva nahīñ sikke mire khoTe nikle
phir ġharīboñ kī shikāyat kā ḳhudā hāfiz haiñ
jab vazīroñ ke amīroñ hī se rishte nikle
gard jab saaf huī sab ne ye manzar dekhā
jo nazar aate the ūñche vahī baune nikle
ibtidā phir se hai ek aur safar kī 'ātish'
ba.ad marne ke bhale pairoñ se juute nikle
baat bachchon ki thi laDne ko siyane nikle
phir ajab kya hai ki bachche bhi laDake nikle
dhyan man rakhti thi mera wo zamane nikle
hain yun ab roz sawere se kamane nikle
aam ke bagh se jab se hain parinde ghaeb
baad us ke kahan phir aam rasile nikle
poTli jis ke liye laDti rahin auladen
man ki us poTli mein sirf jharoke nikle
ye to kal-yug hai khara is mein nahin hain koi
mujh ko shikwa nahin sikke mere khoTe nikle
phir gharibon ki shikayat ka KHuda hafiz hain
jab waziron ke amiron hi se rishte nikle
gard jab saf hui sab ne ye manzar dekha
jo nazar aate the unche wahi baune nikle
ibtida phir se hai ek aur safar ki 'atish'
baad marne ke bhale pairon se jute nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.