baat ban jaane ka imkan bhi ho sakta hai
baat ban jaane kā imkān bhī ho saktā hai
mas.ala kahne se āsān bhī ho saktā hai
aap jis baat ko ma.amūlī samajh baiThe haiñ
koī is baat pe hairān bhī ho saktā hai
ek sargoshī tanāvar bhī to ho saktī hai
terī har baat kā elaan bhī ho saktā hai
gumrahī meñ jo mirī rāhbarī ko aayā
ḳhud vo bhaTkā huā insān bhī ho saktā hai
pesh-bañdī ise tum kahte ho merī lekin
ba-ḳhudā ye mirā vijdān bhī ho saktā hai
tum ne lafzoñ meñ jo Tāñkā hai nagīne kī tarah
vo kisī aur kā farmān bhī ho saktā hai
mere raste hī mirī tajraba-gāheñ haiñ 'qamar'
garche in rāhoñ meñ nuqsān bhī ho saktā hai
baat ban jaane ka imkan bhi ho sakta hai
masala kahne se aasan bhi ho sakta hai
aap jis baat ko mamuli samajh baiThe hain
koi is baat pe hairan bhi ho sakta hai
ek sargoshi tanawar bhi to ho sakti hai
teri har baat ka elan bhi ho sakta hai
gumrahi mein jo meri rahbari ko aaya
KHud wo bhaTka hua insan bhi ho sakta hai
pesh-bandi ise tum kahte ho meri lekin
ba-KHuda ye mera wijdan bhi ho sakta hai
tum ne lafzon mein jo Tanka hai nagine ki tarah
wo kisi aur ka farman bhi ho sakta hai
mere raste hi meri tajraba-gahen hain 'qamar'
garche in rahon mein nuqsan bhi ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.