Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baat bah jaane ki sun kar ashk barham ho gae

Nitin Nayab

baat bah jaane ki sun kar ashk barham ho gae

Nitin Nayab

MORE BYNitin Nayab

    baat bah jaane sun kar ashk barham ho ga.e

    ik zarā koshish bhī to aur pur-nam ho ga.e

    ye huā ma.amūl ki mānūs-e-ġham dil ho gayā

    ham samajh baiThe hamāre dard kuchh kam ho ga.e

    kaifiyat iz.hār-e-soz-e-dil kuchh aisī huī

    aate aate lab talak alfāz mub.ham ho ga.e

    vaqt chāragarī bhī dekhiye kyā ḳhuub hai

    ġham davā meñ Dhal gayā aur zaḳhm mahram ho ga.e

    gardishoñ ke abr ik buuñd tan par kyā girī

    kal jo the sho.ala-sifat vo aaj shabnam ho ga.e

    the hamāre ḳhuuñ ke qatre ḳhaak sūrat ḳhudā

    tere naqsh-e-pā ko chhū kar āb-e-zamzam ho ga.e

    dushmanī baḌhne yuuñ 'nāyāb' ġham ham ko nahīñ

    haañ magar afsos ye hai dost kuchh kam ho ga.e

    baat bah jaane ki sun kar ashk barham ho gae

    ek zara koshish bhi ki to aur pur-nam ho gae

    ye hua mamul ki manus-e-gham dil ho gaya

    hum samajh baiThe hamare dard kuchh kam ho gae

    kaifiyat izhaar-e-soz-e-dil ki kuchh aisi hui

    aate aate lab talak alfaz mubham ho gae

    waqt ki chaaragari bhi dekhiye kya KHub hai

    gham dawa mein Dhal gaya aur zaKHm mahram ho gae

    gardishon ke abr ki ek bund tan par kya giri

    kal jo the shoala-sifat wo aaj shabnam ho gae

    the hamare KHun ke qatre KHak ki surat KHuda

    tere naqsh-e-pa ko chhu kar aab-e-zamzam ho gae

    dushmani baDhne ka yun 'nayab' gham hum ko nahin

    han magar afsos ye hai dost kuchh kam ho gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now