baat banti nahin banane se
baat bantī nahīñ banāne se
vo nahīñ mānte manāne se
fā.eda bijliyāñ girāne se
baaz aa jaao muskurāne se
apnā hamdam hī jab nahīñ apnā
kyā ho ummīd phir zamāne se
jurm-e-ulfat bhī kyā burī shai hai
ham alag ho ga.e zamāne se
dil kī qīmat nazar meñ kuchh bhī nahīñ
khul gayā raaz dil lagāne se
un ke kaam aa gayā dil-e-ḳhud-kām
merī mehnat lagī Thikāne se
apnā ġham apnī hasrateñ ai dost
bhūltā kaun hai bhulāne se
mil gayā mujh ko zindagī kā surāġh
jab uThā un ke āstāne se
'hasrat'-e-dīd rah ga.ī dil meñ
maut jab aa ga.ī bahāne se
baat banti nahin banane se
wo nahin mante manane se
faeda bijliyan girane se
baz aa jao muskurane se
apna hamdam hi jab nahin apna
kya ho ummid phir zamane se
jurm-e-ulfat bhi kya buri shai hai
hum alag ho gae zamane se
dil ki qimat nazar mein kuchh bhi nahin
khul gaya raaz dil lagane se
un ke kaam aa gaya dil-e-KHud-kaam
meri mehnat lagi Thikane se
apna gham apni hasraten ai dost
bhulta kaun hai bhulane se
mil gaya mujh ko zindagi ka suragh
jab uTha un ke aastane se
'hasrat'-e-did rah gai dil mein
maut jab aa gai bahane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.