baat bigDi hui bani hai abhi
baat bigḌī huī banī hai abhī
ik nayā rabt-e-bāhamī hai abhī
mujh ko aisā gumān hotā hai
nā-mukammal sī zindagī hai abhī
bāvajūde hazār nākāmī
zindagī meñ hamāhamī hai abhī
ek bijlī sī hai jo rah rah kar
gosha-e-dil meñ kauñdtī hai abhī
shauq se aao qāfile vaalo
rāh-e-manzil bulā rahī hai abhī
yuuñ to tum bhī udaas udaas se ho
aañkh merī bhī shabnamī hai abhī
zindagī kī talāsh meñ huuñ maiñ
zindagī mujh ko DhūñDhtī hai abhī
nazriya ek sā nahīñ rahtā
aql aur dil meñ dushmanī hai abhī
ḳhaak Daalā kiye adū har dam
phir bhī urdu meñ shustagī hai abhī
tum ġhazal ko nikhār lo 'gauhar'
chāñd tāroñ meñ raushnī hai abhī
baat bigDi hui bani hai abhi
ek naya rabt-e-bahami hai abhi
mujh ko aisa guman hota hai
na-mukammal si zindagi hai abhi
bawajude hazar nakaami
zindagi mein hamahami hai abhi
ek bijli si hai jo rah rah kar
gosha-e-dil mein kaundti hai abhi
shauq se aao qafile walo
rah-e-manzil bula rahi hai abhi
yun to tum bhi udas udas se ho
aankh meri bhi shabnami hai abhi
zindagi ki talash mein hun main
zindagi mujh ko DhunDhti hai abhi
nazriya ek sa nahin rahta
aql aur dil mein dushmani hai abhi
KHak Dala kiye adu har dam
phir bhi urdu mein shustagi hai abhi
tum ghazal ko nikhaar lo 'gauhar'
chand taron mein raushni hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.