baat chhoTi ho ya ho baDi dosto
baat chhoTī ho yā ho baḌī dosto
tum na karnā kabhī haḌbaḌī dosto
rahguzar ke baġhal meñ shajar Thiik hai
dhuup kal aur hogī kaḌī dosto
koī parchhā.ī tanhā mujhe dekh kar
saath mere yūñhī chal paḌī dosto
bhūmī dekhī jo thoḌī sī bhī daldalī
aañkh un kī vahīñ par gaḌī dosto
ban ga.ī vo hī merī sharīk-e-hayāt
ye nazar jis se pahle laḌī dosto
baat chhoTi ho ya ho baDi dosto
tum na karna kabhi haDbaDi dosto
rahguzar ke baghal mein shajar Thik hai
dhup kal aur hogi kaDi dosto
koi parchhai tanha mujhe dekh kar
sath mere yunhi chal paDi dosto
bhumi dekhi jo thoDi si bhi daldali
aankh un ki wahin par gaDi dosto
ban gai wo hi meri sharik-e-hayat
ye nazar jis se pahle laDi dosto
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.