baat chup rah ke bhi karti hain tumhaari aankhen
baat chup rah ke bhi karti hain tumhaari aankhen
Roopa Mehta Naghma
MORE BYRoopa Mehta Naghma
baat chup rah ke bhī kartī haiñ tumhārī āñkheñ
jab bhī chehre pe Thahartī haiñ tumhārī āñkheñ
mirī rag rag ko charāġhoñ se sajā jaatī haiñ
dil kī galiyoñ se guzartī haiñ tumhārī āñkheñ
muskurātī huī jab merī taraf uThtī haiñ
tiir sī dil meñ utartī haiñ tumhārī āñkheñ
dil ke un tapte sulagte hue zaḳhmoñ pe kabhī
sard shabnam sī bikhartī haiñ tumhārī āñkheñ
jab sharārat sī koī un meñ chhupī ho 'naġhma'
kuchh ziyāda hī nikhartī haiñ tumhārī āñkheñ
baat chup rah ke bhi karti hain tumhaari aankhen
jab bhi chehre pe Thaharti hain tumhaari aankhen
meri rag rag ko charaghon se saja jati hain
dil ki galiyon se guzarti hain tumhaari aankhen
muskuraati hui jab meri taraf uThti hain
tir si dil mein utarti hain tumhaari aankhen
dil ke un tapte sulagte hue zaKHmon pe kabhi
sard shabnam si bikharti hain tumhaari aankhen
jab shararat si koi un mein chhupi ho 'naghma'
kuchh ziyaada hi nikharti hain tumhaari aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.