baat dil ki jahan-jahan rakhiye
baat dil kī jahāñ-jahāñ rakhiye
ek parda bhī darmiyāñ rakhiye
ghoñsle jab bane haiñ kāñToñ se
kyoñ bachā kar hatheliyāñ rakhiye
hausle apne āzmāne ko
har qadam saath āñdhiyāñ rakhiye
mausamoñ se nazar milāne ko
sar pe koī na āsmāñ rakhiye
har jagah naam un kā likkhā hai
fikr hai dāstāñ kahāñ rakhiye
baat dil kī kisī se to kahiye
paas behtar hai rāz-dāñ rakhiye
tab janam legī naġhmagī 'shailī'
dil ke zaḳhmoñ pe jab zabāñ rakhiye
baat dil ki jahan-jahan rakhiye
ek parda bhi darmiyan rakhiye
ghonsle jab bane hain kanTon se
kyon bacha kar hatheliyan rakhiye
hausle apne aazmane ko
har qadam sath aandhiyan rakhiye
mausamon se nazar milane ko
sar pe koi na aasman rakhiye
har jagah nam un ka likkha hai
fikr hai dastan kahan rakhiye
baat dil ki kisi se to kahiye
pas behtar hai raaz-dan rakhiye
tab janam legi naghmagi 'shaili'
dil ke zaKHmon pe jab zaban rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.