baat dil ki koi an-kahi rah gai
baat dil kī koī an-kahī rah ga.ī
hoñTh chup aur nazar ye jhukī rah ga.ī
ḳhat kā har harf ham ne jalāyā magar
lafz-dar-lafz vābastagī rah ga.ī
thā charāġhoñ sā raushan kabhī ghar mirā
saath chhūTā to bas tīrgī rah ga.ī
dāstāñ ġham kī shā.ir bayāñ kar gayā
lafz kī dekh jādūgarī rah ga.ī
umr bhar mashġhala jis ko ham ne kahā
band safhoñ meñ vo shā.irī rah ga.ī
bhīgī in palkoñ se ye bayāñ ho gayā
koī ḳhvāhish kahīñ ik dabī rah ga.ī
yuuñ to hāsil jahāñ meñ huā sab magar
ye kitāb-e-tamannā khulī rah ga.ī
ek maiñ ek tum aur zamāna ye ik
roz dīvār koī khaḌī rah ga.ī
baat dil ki koi an-kahi rah gai
honTh chup aur nazar ye jhuki rah gai
KHat ka har harf hum ne jalaya magar
lafz-dar-lafz wabastagi rah gai
tha charaghon sa raushan kabhi ghar mera
sath chhuTa to bas tirgi rah gai
dastan gham ki shair bayan kar gaya
lafz ki dekh jadugari rah gai
umr bhar mashghala jis ko hum ne kaha
band safhon mein wo shairi rah gai
bhigi in palkon se ye bayan ho gaya
koi KHwahish kahin ek dabi rah gai
yun to hasil jahan mein hua sab magar
ye kitab-e-tamanna khuli rah gai
ek main ek tum aur zamana ye ek
roz diwar koi khaDi rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.