baat dil ki zaban pe aai hai
Interesting Fact
(October 22, 1961)
baat dil kī zabāñ pe aa.ī hai
ab ye apnī nahīñ parā.ī hai
ḳhair dāġh-e-jigar kī ho yārab
umr bhar kī yahī kamā.ī hai
chup raheñ to rahā nahīñ jaatā
kuchh jo kahiye to jag-hañsā.ī hai
aql do chaar gaam tak mahdūd
ishq kī duur tak rasā.ī hai
mutabassim hue haiñ lab kis ke
kā.enāt aaj muskurā.ī hai
vo bhī hai ik maqām-e-ishq jahāñ
ham ne apnī hañsī uḌaa.ī hai
tajziya vasl kā kiyā to khulā
ye to ik mustaqil judā.ī hai
inqalāb is se baḌh ke kyā hogā
kal jo parbat thā aaj raa.ī hai
ġhair ham ko shikast de na sake
ham ne apnoñ se maat khaa.ī hai
pāk-dāman haiñ bāda-noshī se
pārsā.ī sī pārsā.ī hai
dil churāyā to hiir ḳhuub kiyā
aañkh 'tālib' se kyuuñ churā.ī hai
baat dil ki zaban pe aai hai
ab ye apni nahin parai hai
KHair dagh-e-jigar ki ho yarab
umr bhar ki yahi kamai hai
chup rahen to raha nahin jata
kuchh jo kahiye to jag-hansai hai
aql do chaar gam tak mahdud
ishq ki dur tak rasai hai
mutabassim hue hain lab kis ke
kaenat aaj muskurai hai
wo bhi hai ek maqam-e-ishq jahan
hum ne apni hansi uDai hai
tajziya wasl ka kiya to khula
ye to ek mustaqil judai hai
inqalab is se baDh ke kya hoga
kal jo parbat tha aaj rai hai
ghair hum ko shikast de na sake
hum ne apnon se mat khai hai
pak-daman hain baada-noshi se
parsai si parsai hai
dil churaya to hir KHub kiya
aankh 'talib' se kyun churai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.