baat ek jaisi hai hajw ya qasida likh
baat ek jaisī hai hajv yā qasīda likh
be-niyāziyāñ us kī ho ke ābdīda likh
jam.a kar ye āvāzeñ merī ḳhud-kalāmī kī
aur un ke imle se dard kā jarīda likh
zehn kī hidāyat hai kātib-e-zamāna ko
aql kī dalīloñ se aaj kā aqīda likh
rañg-o-raushnā.ī kī hadd-e-auj se uupar
ho sake to andāzan qāmat-e-kashīda likh
dekh un ḳhalāoñ meñ nuqta-hā-e-nūr us ke
tū bhī ek ḳhāliq hai sher chīda chīda likh
baat ek jaisi hai hajw ya qasida likh
be-niyaziyan us ki ho ke aabdida likh
jama kar ye aawazen meri KHud-kalami ki
aur un ke imle se dard ka jarida likh
zehn ki hidayat hai katib-e-zamana ko
aql ki dalilon se aaj ka aqida likh
rang-o-raushnai ki hadd-e-auj se upar
ho sake to andazan qamat-e-kashida likh
dekh un KHalaon mein nuqta-ha-e-nur us ke
tu bhi ek KHaliq hai sher chida chida likh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.