baat hai aap ki ghazab ki baat
baat hai aap kī ġhazab kī baat
kaash farmāte koī Dhab kī baat
muḳhtalif hai zabān dushman-o-dost
ek hotī nahīñ hai sab kī baat
jhanjhanā uTThe sāz-e-dil sab ke
al-amāñ tere zer-e-lab kī baat
āshiyāna kahāñ kahāñ ye qafas
ab kise yaad hogī jab kī baat
dil ne āḳhir nigāh ko Tokā
be-adab kah gayā adab kī baat
dard-e-dil pūchh dard vāloñ se
jāñ-ba-lab jaane jāñ-ba-lab kī baat
mausam-e-gul pe tabsira hai abas
ġhuncha-o-gul se tum ne kab kī baat
sab ke lab par haiñ tazkire kal ke
koī kahtā nahīñ hai ab kī baat
sham.a raushan huī hai āḳhir-e-shab
sub.h ko yaad aa.ī shab kī baat
dil ko bhaa.ī bas un kī baat 'ashraf'
yuuñ to sunñe ko sun lī sab kī baat
baat hai aap ki ghazab ki baat
kash farmate koi Dhab ki baat
muKHtalif hai zaban dushman-o-dost
ek hoti nahin hai sab ki baat
jhanjhana uTThe saz-e-dil sab ke
al-aman tere zer-e-lab ki baat
aashiyana kahan kahan ye qafas
ab kise yaad hogi jab ki baat
dil ne aaKHir nigah ko Toka
be-adab kah gaya adab ki baat
dard-e-dil puchh dard walon se
jaan-ba-lab jaane jaan-ba-lab ki baat
mausam-e-gul pe tabsira hai abas
ghuncha-o-gul se tum ne kab ki baat
sab ke lab par hain tazkire kal ke
koi kahta nahin hai ab ki baat
shama raushan hui hai aaKHir-e-shab
subh ko yaad aai shab ki baat
dil ko bhai bas un ki baat 'ashraf'
yun to sunne ko sun li sab ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.