baat hai ab ke mere wahm-o-guman se aage
baat hai ab ke mire vahm-o-gumāñ se aage
hai nigah jalva-talab husn-e-butāñ se aage
tū ne samjhā hai jise manzil-e-maqsūd nahīñ
manzil-e-ishq to hai manzil-e-jāñ se aage
dil huā hamdam-e-jibrīl-e-amīñ sidra-nashīñ
aql baḌhtī hī nahīñ sūd-o-ziyāñ se aage
umr bhar nālā-kunāñ phirte rahe shahr-ba-shahr
aur ham karte bhī kyā āh-o-fuġhāñ se aage
lauT kar phir se vo aa jaa.eñ ye mumkin hī nahīñ
qāfila jin kā gayā umr-e-ravāñ se aage
baat hai ab ke mere wahm-o-guman se aage
hai nigah jalwa-talab husn-e-butan se aage
tu ne samjha hai jise manzil-e-maqsud nahin
manzil-e-ishq to hai manzil-e-jaan se aage
dil hua hamdam-e-jibril-e-amin sidra-nashin
aql baDhti hi nahin sud-o-ziyan se aage
umr bhar nala-kunan phirte rahe shahr-ba-shahr
aur hum karte bhi kya aah-o-fughan se aage
lauT kar phir se wo aa jaen ye mumkin hi nahin
qafila jin ka gaya umr-e-rawan se aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.