baat jab baat se nikalti hai
baat jab baat se nikaltī hai
baat shub.hāt se nikaltī hai
baat vo talḳh-o-tursh hai goyā
jo shikāyāt se nikaltī hai
baat vo qābil-e-adab hai jo
nek jazbāt se nikaltī hai
ḳhatm ho qalb se vo nafrat bhī
jo fasādāt se nikaltī hai
dahr meñ kashmakash hai us bū se
jo ḳhurāfāt se nikaltī hai
is havā ne jalā diye haiñ ghar
jo bhī ḳhadshāt se nikaltī hai
baat vo hāmil-e-sabaq hai jo
guzre hālāt se nikaltī hai
dahshat-e-dahr se amaañ māñgo
ye to hālāt se nikaltī hai
rū-ba-rū ho na 'faiz' se ulfat
achchhe jazbāt se nikaltī hai
baat jab baat se nikalti hai
baat shubhat se nikalti hai
baat wo talKH-o-tursh hai goya
jo shikayat se nikalti hai
baat wo qabil-e-adab hai jo
nek jazbaat se nikalti hai
KHatm ho qalb se wo nafrat bhi
jo fasadat se nikalti hai
dahr mein kashmakash hai us bu se
jo KHurafat se nikalti hai
is hawa ne jala diye hain ghar
jo bhi KHadshat se nikalti hai
baat wo hamil-e-sabaq hai jo
guzre haalat se nikalti hai
dahshat-e-dahr se aman mango
ye to haalat se nikalti hai
ru-ba-ru ho na 'faiz' se ulfat
achchhe jazbaat se nikalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.