baat jitni tawil hoti hai
baat jitnī tavīl hotī hai
vo barā.e-dalīl hotī hai
kaun samjhā hai un ishāroñ ko
jin se nafrat qatīl hotī hai
rab kā tohfa hai fahm-e-insānī
ziist kī vo fasīl hotī hai
hai vo ḳhush-hāl insāñ duniyā meñ
jis kī aadat jamīl hotī hai
e'timād-o-yaqīn rab par ho
zindagī ḳhud-kafīl hotī hai
sirf bāham yaqīñ na hone par
dahr behad zalīl hotī hai
log zar par nisār haiñ jis meñ
dār-e-fānī daḳhīl hotī hai
dām-e-sayyād se nikalne kī
mehr-e-rab hī sabīl hotī hai
ek ehsās hī kī daulat se
'faiz' duniyā ḳhalīl hotī hai
baat jitni tawil hoti hai
wo barae-dalil hoti hai
kaun samjha hai un ishaaron ko
jin se nafrat qatil hoti hai
rab ka tohfa hai fahm-e-insani
zist ki wo fasil hoti hai
hai wo KHush-haal insan duniya mein
jis ki aadat jamil hoti hai
e'timad-o-yaqin rab par ho
zindagi KHud-kafil hoti hai
sirf baham yaqin na hone par
dahr behad zalil hoti hai
log zar par nisar hain jis mein
dar-e-fani daKHil hoti hai
dam-e-sayyaad se nikalne ki
mehr-e-rab hi sabil hoti hai
ek ehsas hi ki daulat se
'faiz' duniya KHalil hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.