baat jo kahne ko thi sab se zaruri rah gai
baat jo kahne ko thī sab se zarūrī rah ga.ī
kyā kiyā jaa.e ġhazal ye bhī adhūrī rah ga.ī
rizq se baḌh kar use kuchh aur bhī darkār thā
kal vo taa.ir uḌ gayā piñjre meñ chūrī rah ga.ī
thī bahut shaffāf lekin din kī uḌtī gard meñ
shaam tak ye zindagī rangat meñ bhūrī rah ga.ī
kyoñ chale aa.e khulī āñkhoñ kī vahshat kāTne
is galī meñ niiñd kyā puurī kī puurī rah ga.ī
bas yahī hāsil huā tarmīm kī tarmīm se
hāsil-o-maqsūd meñ pahlī sī duurī rah ga.ī
kis qarīne se chhupāyā bhed lekin khul gayā
ġhāliban koī ishārat lā-shu'ūrī rah ga.ī
baat jo kahne ko thi sab se zaruri rah gai
kya kiya jae ghazal ye bhi adhuri rah gai
rizq se baDh kar use kuchh aur bhi darkar tha
kal wo tair uD gaya pinjre mein churi rah gai
thi bahut shaffaf lekin din ki uDti gard mein
sham tak ye zindagi rangat mein bhuri rah gai
kyon chale aae khuli aankhon ki wahshat kaTne
is gali mein nind kya puri ki puri rah gai
bas yahi hasil hua tarmim ki tarmim se
hasil-o-maqsud mein pahli si duri rah gai
kis qarine se chhupaya bhed lekin khul gaya
ghaaliban koi ishaarat la-shu'uri rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.