baat jo tujhse zabani ho gai
baat jo tujh se zabānī ho ga.ī
kuchh haqīqat kuchh kahānī ho ga.ī
be-sabab phirtī nahīñ hai raah meñ
shahr kī laḌkī siyānī ho ga.ī
raat phir pāgal havā ke shor meñ
ziist merī dāstānī ho ga.ī
roz kahte haiñ magar kahte nahīñ
zindagī apnī kahānī ho ga.ī
baat apne shahr kī kuchh to kaho
qātiloñ kī pāsbānī ho ga.ī
kis liye be-kaif ho 'ādil'-hayāt
ḳhatm kyā saarī kahānī ho ga.ī
baat jo tujh se zabani ho gai
kuchh haqiqat kuchh kahani ho gai
be-sabab phirti nahin hai rah mein
shahr ki laDki siyani ho gai
raat phir pagal hawa ke shor mein
zist meri dastani ho gai
roz kahte hain magar kahte nahin
zindagi apni kahani ho gai
baat apne shahr ki kuchh to kaho
qatilon ki pasbani ho gai
kis liye be-kaif ho 'adil'-hayat
KHatm kya sari kahani ho gai
- Book : Sitara Sang (Gazals) (Pg. 79)
- Author : Adil Hayat
- Publication : Nirali Duniya Publications,Darya Ganj, Delhi (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.