baat jo tumko sikhai hai purani kahna
baat jo tum ko sikhā.ī hai purānī kahnā
log kuchh bhī kaheñ tum aag ko paanī kahnā
naujavāñ bojh jo ġhairoñ ko uThā.e hañs kar
dosto us kī javānī ko javānī kahnā
maiñ musavvir to nahīñ huuñ ki kamāl aa jaa.e
apnī tasvīr ko tasvīr suhānī kahnā
kis tarah tum ne kiyā rāh-e-mohabbat kā safar
lauT aao to hameñ apnī kahānī kahnā
choT mahbūb ke hāthoñ lage koī 'jauhar'
tum ise pyaar kī anmol nishānī kahnā
baat jo tum ko sikhai hai purani kahna
log kuchh bhi kahen tum aag ko pani kahna
naujawan bojh jo ghairon ko uThae hans kar
dosto us ki jawani ko jawani kahna
main musawwir to nahin hun ki kamal aa jae
apni taswir ko taswir suhani kahna
kis tarah tum ne kiya rah-e-mohabbat ka safar
lauT aao to hamein apni kahani kahna
choT mahbub ke hathon lage koi 'jauhar'
tum ise pyar ki anmol nishani kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.