baat kā apnī na jab paayā javāb
ham ye samjhe vo dahan hai lā-javāb
bāteñ sunvā.īñ lab-e-ḳhāmosh ne
varna ham dete use kyā kyā javāb
be-nishāñ hai vo kamar shakl-e-dahan
kaun sī shai hai nahīñ jis kā javāb
saada kāġhaz bhejā naame ke evaz
vaañ se aayā bhī to saaf aayā javāb
pūchhtā gar us kamar kā maiñ nishāñ
ġhaib se miltā mujhe is kā javāb
tum jo kuchh kahte zabān-e-teġh se
maiñ dahān-e-zaḳhm se detā javāb
aaj mujh se baat agar karte nahīñ
deñge ye but kal ḳhudā ko kyā javāb
be-dahan vo hai to maiñ huuñ be-zabāñ
yaar kī sūrat huuñ maiñ bhī lā-javāb
kah ke ik misra.a mah-e-nau rah gayā
ho sakā kab bait-e-abrū kā javāb
baat sīdhī kī jo thā mazkūr-e-qad
zikr-e-abrū meñ diyā TeḌhā javāb
kījiye kyā baat us kaj-tab.a se
degā charḳh-e-vazhgūñ ulTā javāb
bāteñ kartā hai jo parda chhoḌ kar
mujh ko detā hai vo dar-parda javāb
aa gayā ai vaa.e paiġhām-e-ajal
par na qāsid le ke kuchh aayā javāb
sun ke baiteñ mere hāsid chup rahe
ai 'vazīr' apnā suḳhan hai lā-javāb
baat ka apni na jab paya jawab
hum ye samjhe wo dahan hai la-jawab
baaten sunwain lab-e-KHamosh ne
warna hum dete use kya kya jawab
be-nishan hai wo kamar shakl-e-dahan
kaun si shai hai nahin jis ka jawab
sada kaghaz bheja name ke ewaz
wan se aaya bhi to saf aaya jawab
puchhta gar us kamar ka main nishan
ghaib se milta mujhe is ka jawab
tum jo kuchh kahte zaban-e-tegh se
main dahan-e-zaKHm se deta jawab
aaj mujh se baat agar karte nahin
denge ye but kal KHuda ko kya jawab
be-dahan wo hai to main hun be-zaban
yar ki surat hun main bhi la-jawab
kah ke ek misra mah-e-nau rah gaya
ho saka kab bait-e-abru ka jawab
baat sidhi ki jo tha mazkur-e-qad
zikr-e-abru mein diya TeDha jawab
kijiye kya baat us kaj-taba se
dega charKH-e-wazhgun ulTa jawab
baaten karta hai jo parda chhoD kar
mujh ko deta hai wo dar-parda jawab
aa gaya ai wae paigham-e-ajal
par na qasid le ke kuchh aaya jawab
sun ke baiten mere hasid chup rahe
ai 'wazir' apna suKHan hai la-jawab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.