baat kah kar hansa gaya mujhko
baat kah kar hañsā gayā mujh ko
ik tamāshā banā gayā mujh ko
ab to maiñ bhī huuñ paan kā pattā
aisā chūnā lagā gayā mujh ko
mujh ko pahle banāyā putlī phir
uñgliyoñ par nachā gayā mujh ko
jo kisī samt bhī nahīñ jaatā
aisā rasta dikhā gayā mujh ko
le ke mere qalam kā ik bosa
'mīr' 'mīrā' banā gayā mujh ko
zaḳhm phūloñ kī shakl ke de kar
apne fan se sajā gayā mujh ko
rū-ba-rū aa.ine ke maiñ bhī thā
chehra us kā dikhā gayā mujh ko
mard-e-kāmil jo haq-parast bhī thā
bolnā sach batā gayā mujh ko
mere hoñToñ pe hoñT rakh rakh kar
apnī bansī banā gayā mujh ko
aa ke mere qafas meñ vo 'panchhī'
chahchahānā sikhā gayā mujh ko
baat kah kar hansa gaya mujh ko
ek tamasha bana gaya mujh ko
ab to main bhi hun pan ka patta
aisa chuna laga gaya mujh ko
mujh ko pahle banaya putli phir
ungliyon par nacha gaya mujh ko
jo kisi samt bhi nahin jata
aisa rasta dikha gaya mujh ko
le ke mere qalam ka ek bosa
'mir' 'mira' bana gaya mujh ko
zaKHm phulon ki shakl ke de kar
apne fan se saja gaya mujh ko
ru-ba-ru aaine ke main bhi tha
chehra us ka dikha gaya mujh ko
mard-e-kaamil jo haq-parast bhi tha
bolna sach bata gaya mujh ko
mere honTon pe honT rakh rakh kar
apni bansi bana gaya mujh ko
aa ke mere qafas mein wo 'panchhi'
chahchahana sikha gaya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.