Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baat kaisi bhi ho andaz naya deta tha

Prem Bhandari

baat kaisi bhi ho andaz naya deta tha

Prem Bhandari

MORE BYPrem Bhandari

    baat kaisī bhī ho andāz nayā detā thā

    aise hañstā thā ki vo sab ko rulā detā thā

    koī māyūs jo miltā to na rahtā be-ās

    rang chehre pe tabassum sajā detā thā

    'umr bhar ret pe chaltā rahā lekin vo shaḳhs

    taptī rāhoñ pe harī ghaas bichhā detā thā

    koī anjām-e-mohabbat jo bāteñ kartā

    phuul ke chehre pe shabnam vo dikhā detā thā

    merī ġhalatī pe bigaḌtā bhī bahut thā lekin

    aur phir mujh ko vo bhar ke du'ā detā thā

    baat kaisi bhi ho andaz naya deta tha

    aise hansta tha ki wo sab ko rula deta tha

    koi mayus jo milta to na rahta be-as

    rang chehre pe tabassum ka saja deta tha

    'umr bhar ret pe chalta raha lekin wo shaKHs

    tapti rahon pe hari ghas bichha deta tha

    koi anjam-e-mohabbat ki jo baaten karta

    phul ke chehre pe shabnam wo dikha deta tha

    meri ghalati pe bigaDta bhi bahut tha lekin

    aur phir mujh ko wo ji bhar ke du'a deta tha

    Source :
    • Book : Khushboo Rang Sada ke Sang (Pg. 40)
    • Author : Preem Bhandari
    • Publication : Westzone Culture Center Udaipur (2003)
    • Edition : 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now