baat karte ho to takrar ki bu aati hai
baat karte ho to takrār kī bū aatī hai
yaar tum se kisī bīmār kī bū aatī hai
chaa.e ke saath ye ḳhabreñ na paḌhā kar varna
muñh se din bhar usī aḳhbār kī bū aatī hai
aap kah kar na ho tū mujh se muḳhātib ai dost
mujh ko is lafz se aġhyār kī bū aatī hai
terī guftār se hotā hai tijārat kā gumāñ
tere lahje se ḳharīdār kī bū aatī hai
pahle ḳhushbū kī tarah log mahakte the yahāñ
ab to girte hue me'yār kī bū aatī hai
vo jo is shahr meñ kuchh log haiñ ujle ujle
ab mujhe un se gunahgār kī bū aatī hai
tere aḳhlāq meñ ik mushk-fishānī hai 'nafas'
tere kirdār se ḳhud.dār kī bū aatī hai
baat karte ho to takrar ki bu aati hai
yar tum se kisi bimar ki bu aati hai
chae ke sath ye KHabren na paDha kar warna
munh se din bhar usi aKHbar ki bu aati hai
aap kah kar na ho tu mujh se muKHatib ai dost
mujh ko is lafz se aghyar ki bu aati hai
teri guftar se hota hai tijarat ka guman
tere lahje se KHaridar ki bu aati hai
pahle KHushbu ki tarah log mahakte the yahan
ab to girte hue me'yar ki bu aati hai
wo jo is shahr mein kuchh log hain ujle ujle
ab mujhe un se gunahgar ki bu aati hai
tere aKHlaq mein ek mushk-fishani hai 'nafas'
tere kirdar se KHuddar ki bu aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.