baat karti hai etimad ke sath
baat kartī hai e'timād ke saath
jaise muddat se jāntī hai miyāñ
ishq bhī ek sāneha hai ajab
vo gale mil ke ro rahī hai miyāñ
us badan kī sifāt kyā kahiye
aag bhī vo hai phuul bhī hai miyāñ
us ko mushkil dikhā.ī detā huuñ
jab kabhī mujh ko sochtī hai miyāñ
jiit lī us ne ik ma.āsh kī jang
ab vo aage nikal ga.ī hai miyāñ
ab to dollar hī daur-e-hāzir meñ
ik ġhazal nazm masnavī hai miyāñ
aao tum ko milā.eñ 'ātir' se
jis ke sheroñ meñ tāzgī hai miyāñ
baat karti hai e'timad ke sath
jaise muddat se jaanti hai miyan
ishq bhi ek saneha hai ajab
wo gale mil ke ro rahi hai miyan
us badan ki sifat kya kahiye
aag bhi wo hai phul bhi hai miyan
us ko mushkil dikhai deta hun
jab kabhi mujh ko sochti hai miyan
jit li us ne ek maash ki jang
ab wo aage nikal gai hai miyan
ab to dollar hi daur-e-hazir mein
ek ghazal nazm masnawi hai miyan
aao tum ko milaen 'atir' se
jis ke sheron mein tazgi hai miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.