baat ki jab ishq ne tahzib ki
baat kī jab ishq ne tahzīb kī
tere ġham meñ roz ik taqrīb kī
zindagī ko nazm karne ke liye
maiñ nai har harbe se ik tartīb kī
chal paḌā phir silsila ta.amīr kā
kuchh nahīñ bas thoḌī sī taḳhrīb kī
bhuul jaanā chāhte the so use
yaad karne kī koī tarkīb kī
pahle apne aap ko sachchā kahā
aur phir har baat kī takzīb kī
saare qisse haiñ tirī tamsīl ke
saarī bāteñ haiñ faqat tashbīb kī
aañkh bhī be-nūr ho jaatī magar
dil ne us ke ḳhvāb kī tarġhīb kī
baat ki jab ishq ne tahzib ki
tere gham mein roz ek taqrib ki
zindagi ko nazm karne ke liye
main nai har harbe se ek tartib ki
chal paDa phir silsila tamir ka
kuchh nahin bas thoDi si taKHrib ki
bhul jaana chahte the so use
yaad karne ki koi tarkib ki
pahle apne aap ko sachcha kaha
aur phir har baat ki takzib ki
sare qisse hain teri tamsil ke
sari baaten hain faqat tashbib ki
aankh bhi be-nur ho jati magar
dil ne us ke KHwab ki targhib ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.