baat ko thap chahiye achchhe bure kahan nahin
baat ko thaap chāhiye achchhe bure kahāñ nahīñ
un kī nahīñ nahīñ nahīñ un kī to haañ bhī haañ nahīñ
byaah do aañkh muuñd kar dekho karo na haañ nahīñ
is ke bhī baap maañ nahīñ us ke bhī baap maañ nahīñ
ulTī kabīr daas kī beTī samajh meñ aa.e kyā
kahte to haiñ vo haañ nahīñ kahte to haiñ vo haañ nahīñ
is ko sharīf kahte haiñ aise sharīf hote haiñ
baap ke nikle baap tum ḳhair ye hai ki maañ nahīñ
aap agar nahīñ haiñ chor maiñ bhī to phir nahīñ chhichhor
ghar meñ bulā luuñ kis tarah biibī nahīñ miyāñ nahīñ
aam kaho to vo burā imlī kaho to vo burī
pūchho to aur kaun haiñ jab ye miyāñ chiyāñ nahīñ
jhūTī ho jhuuT baktī ho jhuuT bhī vo ki sach kā baap
kaise tumhārī maan luuñ aise mire miyāñ nahīñ
apne ḳhudā se lau lagā.e sabr kiye paḌī huuñ maiñ
suunī paḌī hai jhopḌī aag nahīñ dhuāñ nahīñ
beTī kā byaah ho chukā beTe kā byaah kar chukīñ
koī kahe yahāñ nahīñ koī kahe vahāñ nahīñ
mere liye hai nand zahr un ke liye hai saas qahr
merā guzārā vaañ nahīñ un kā guzārā yaañ nahīñ
laakh meñ ek haiñ miyāñ ujḌī dul.han ḳhitāb hai
kaan meñ bāliyāñ nahīñ haath meñ chūḌiyāñ nahīñ
naushe miyāñ tumhāre to byaah ke din abhī na the
simTe hue ho sharm se muñh pe ye jhurriyāñ nahīñ
kaise batā.ūñ laḌkiyo ruuh kī tum ko asliyat
saath hai saa.e kī tarah detī par apnī chhāñ nahīñ
peT meñ daana chāhiye jeb meñ daam chāhiye
mahñgī se mahñgī chiiz bhī phir to miyāñ garāñ nahīñ
aql ke chalte ai miyāñ khāte ho muft Thokareñ
diin kī raah saaf hai khaa.ī nahīñ kuaañ nahīñ
reḳhtī hai ye reḳhtī 'shaidā' ab aur kyā kahūñ
sau kī ek ye baat hai sab meñ ye ḳhūbiyāñ nahīñ
baat ko thap chahiye achchhe bure kahan nahin
un ki nahin nahin nahin un ki to han bhi han nahin
byah do aankh mund kar dekho karo na han nahin
is ke bhi bap man nahin us ke bhi bap man nahin
ulTi kabir das ki beTi samajh mein aae kya
kahte to hain wo han nahin kahte to hain wo han nahin
is ko sharif kahte hain aise sharif hote hain
bap ke nikle bap tum KHair ye hai ki man nahin
aap agar nahin hain chor main bhi to phir nahin chhichhor
ghar mein bula lun kis tarah bibi nahin miyan nahin
aam kaho to wo bura imli kaho to wo buri
puchho to aur kaun hain jab ye miyan chiyan nahin
jhuTi ho jhuT bakti ho jhuT bhi wo ki sach ka bap
kaise tumhaari man lun aise mere miyan nahin
apne KHuda se lau lagae sabr kiye paDi hun main
suni paDi hai jhopDi aag nahin dhuan nahin
beTi ka byah ho chuka beTe ka byah kar chukin
koi kahe yahan nahin koi kahe wahan nahin
mere liye hai nand zahr un ke liye hai sas qahr
mera guzara wan nahin un ka guzara yan nahin
lakh mein ek hain miyan ujDi dulhan KHitab hai
kan mein baaliyan nahin hath mein chuDiyan nahin
naushe miyan tumhaare to byah ke din abhi na the
simTe hue ho sharm se munh pe ye jhurriyan nahin
kaise bataun laDkiyo ruh ki tum ko asliyat
sath hai sae ki tarah deti par apni chhan nahin
peT mein dana chahiye jeb mein dam chahiye
mahngi se mahngi chiz bhi phir to miyan garan nahin
aql ke chalte ai miyan khate ho muft Thokaren
din ki rah saf hai khai nahin kuan nahin
reKHti hai ye reKHti 'shaida' ab aur kya kahun
sau ki ek ye baat hai sab mein ye KHubiyan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.