baat kuchh bhi na thi kyun KHafa ho gaya
baat kuchh bhī na thī kyuuñ ḳhafā ho gayā
jo thā apnā mirā ġhair sā ho gayā
dhuup shiddat kī thī chal paḌā raah meñ
maañ kā āñchal mirā aasrā ho gayā
mujh ko mauj-e-balā se koī Dar nahīñ
jab sahārā mirā nāḳhudā ho gayā
ab to āñkhoñ se aañsū bhī bahte nahīñ
zulm jab un kā had se sivā ho gayā
dil meñ 'asġhar' ke ḳhushiyoñ kī barsāt thī
hañste hañste vo kyuuñ ġham-zada ho gayā
baat kuchh bhi na thi kyun KHafa ho gaya
jo tha apna mera ghair sa ho gaya
dhup shiddat ki thi chal paDa rah mein
man ka aanchal mera aasra ho gaya
mujh ko mauj-e-bala se koi Dar nahin
jab sahaara mera naKHuda ho gaya
ab to aankhon se aansu bhi bahte nahin
zulm jab un ka had se siwa ho gaya
dil mein 'asghar' ke KHushiyon ki barsat thi
hanste hanste wo kyun gham-zada ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.