baat kyunkar bane ummid bar aae kyun kar
baat kyūñkar bane ummīd bar aa.e kyuuñ kar
naala pur-shor nahīñ aah sharar-bār nahīñ
aaj aate haiñ mire shikvoñ kā lene vo hisāb
ḳhair hai haath meñ un ke koī talvār nahīñ
mujh se nafrat sahī lazzat-kash-e-āzār to huuñ
ġhair bhī ġhair hai vo ḳhūgar-e-āzār nahīñ
josh-e-mastī meñ chale aa.e kahāñ tum 'rāqim'
ye to masjid hai chalo ḳhāna-e-ḳhummār nahīñ
baat kyunkar bane ummid bar aae kyun kar
nala pur-shor nahin aah sharar-bar nahin
aaj aate hain mere shikwon ka lene wo hisab
KHair hai hath mein un ke koi talwar nahin
mujh se nafrat sahi lazzat-kash-e-azar to hun
ghair bhi ghair hai wo KHugar-e-azar nahin
josh-e-masti mein chale aae kahan tum 'raqim'
ye to masjid hai chalo KHana-e-KHummar nahin
- Book : Noquush (Pg. B-401 E411)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.