baat sach-much mein nirali ho gai
baat sach-much meñ nirālī ho ga.ī
ab nasīhat ek gaalī ho ga.ī
ye asar ham par huā is daur kā
bhāvnā dil kī mavālī ho ga.ī
Daal diiñ bhūke ko jis meñ roTiyāñ
vo samajh puujā kī thālī ho ga.ī
tai kiyā chalnā judā jab bhiiḌ se
har nazar dekhā savālī ho ga.ī
qaid kā itnā maza mat lījiye
ro paḌeñge gar bahālī ho ga.ī
ik amāvas hī to thī apnī hayāt
mil ga.e tum to divālī ho ga.ī
haath meñ qātil ke 'nīraj' phuul hai
baat ab ghabrāne vaalī ho ga.ī
baat sach-much mein nirali ho gai
ab nasihat ek gali ho gai
ye asar hum par hua is daur ka
bhawna dil ki mawali ho gai
Dal din bhuke ko jis mein roTiyan
wo samajh puja ki thaali ho gai
tai kiya chalna juda jab bhiD se
har nazar dekha sawali ho gai
qaid ka itna maza mat lijiye
ro paDenge gar bahaali ho gai
ek amawas hi to thi apni hayat
mil gae tum to diwali ho gai
hath mein qatil ke 'niraj' phul hai
baat ab ghabrane wali ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.