baat se baat nikalne ke wasile na rahe
baat se baat nikalne ke vasīle na rahe
lab rasīle na rahe nain nashīle na rahe
ashk barse to darūñ-ḳhāna-e-jāñ sail gayā
dard chamkā to dar-o-bām bhī giile na rahe
phuul se baas judā fikr se ehsās judā
fard se TuuT ga.e fard qabīle na rahe
Tiis uThtī hai magar chīḳh nahīñ ho paatī
tere pheñke hue patthar bhī nukīle na rahe
maut ne chhīn liyā rañg bhī nam bhī 'ḳhālid'
aañkh bhī suukh ga.ī hoñT bhī niile na rahe
baat se baat nikalne ke wasile na rahe
lab rasile na rahe nain nashile na rahe
ashk barse to darun-KHana-e-jaan sail gaya
dard chamka to dar-o-baam bhi gile na rahe
phul se bas juda fikr se ehsas juda
fard se TuT gae fard qabile na rahe
Tis uThti hai magar chiKH nahin ho pati
tere phenke hue patthar bhi nukile na rahe
maut ne chhin liya rang bhi nam bhi 'KHalid'
aankh bhi sukh gai honT bhi nile na rahe
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 191)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.