baat ye hai sada nahin hota
baat ye hai sadā nahīñ hotā
koī achchhā burā nahīñ hotā
qarz hai aur phir hamārā dil
ādatoñ se judā nahīñ hotā
dūsrā aadmī to dozaḳh hai
maiñ kabhī dūsrā nahīñ hotā
itnā mānūs huuñ maiñ duniyā se
koī pal ho gila nahīñ hotā
niiñd kyuuñ zindagī se Dartī hai
aur sūraj sila nahīñ hotā
aish-o-ārām tere baare meñ
maiñ ne dekhā sunā nahīñ hotā
baat ye hai sada nahin hota
koi achchha bura nahin hota
qarz hai aur phir hamara dil
aadaton se juda nahin hota
dusra aadmi to dozaKH hai
main kabhi dusra nahin hota
itna manus hun main duniya se
koi pal ho gila nahin hota
nind kyun zindagi se Darti hai
aur suraj sila nahin hota
aish-o-aram tere bare mein
main ne dekha suna nahin hota
- Book : Taziyana (Pg. 170)
- Author : Javid Nasir
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.