baat ye hum log aksar sochte hain
baat ye ham log aksar sochte haiñ
sochne se hogā kyā par sochte haiñ
ghar chale aate haiñ jin se bach bachā kar
vo hī chīzeñ ghar pe aa kar sochte haiñ
raat ko ham dekhte haiñ ḳhvāb tere
aur phir vo ḳhvāb din bhar sochte haiñ
ham ko to ye kaam aatā bhī nahīñ par
baat terī ho to phir phir sochte haiñ
bolte haiñ sochnā hī chhoḌ deñge
aur ḳhud ko chup karā kar sochte haiñ
mulk donoñ kā hai mushkil donoñ kī hai
aao hal bhī saath mil kar sochte haiñ
baat ye hum log aksar sochte hain
sochne se hoga kya par sochte hain
ghar chale aate hain jin se bach bacha kar
wo hi chizen ghar pe aa kar sochte hain
raat ko hum dekhte hain KHwab tere
aur phir wo KHwab din bhar sochte hain
hum ko to ye kaam aata bhi nahin par
baat teri ho to phir phir sochte hain
bolte hain sochna hi chhoD denge
aur KHud ko chup kara kar sochte hain
mulk donon ka hai mushkil donon ki hai
aao hal bhi sath mil kar sochte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.