baat zid ki hai sawal aaina-KHane ka nahin
baat zid kī hai savāl ā.īna-ḳhāne kā nahīñ
tum bulāoge bhī mujh ko to maiñ aane kā nahīñ
qarz kī shakl meñ har saañs adā hotī hai
zindagī hai ye koī ḳhvāb divāne kā nahīñ
vaqt ke jabr se mahfūz na rah pāoge
hausla tum meñ agar zarb lagāne kā nahīñ
lūTne vaale mujhe tū bhī pashemāñ hogā
ghar kā taḳhmīna hai naqsha ye ḳhazāne kā nahīñ
vaqt māshūq nahīñ hai ki manā loge ise
ruuTh jā.egā to phir lauT ke aane kā nahīñ
ghar pe aa.e hue mehmān se muñh pherte ho
ye tarīqa to sharīfoñ ke gharāne kā nahīñ
in havāoñ kī iāñat bhī zarūrī hai 'shakīl'
mas.ala sirf charāġhoñ ko jalāne kā nahīñ
baat zid ki hai sawal aaina-KHane ka nahin
tum bulaoge bhi mujh ko to main aane ka nahin
qarz ki shakl mein har sans ada hoti hai
zindagi hai ye koi KHwab diwane ka nahin
waqt ke jabr se mahfuz na rah paoge
hausla tum mein agar zarb lagane ka nahin
luTne wale mujhe tu bhi pasheman hoga
ghar ka taKHmina hai naqsha ye KHazane ka nahin
waqt mashuq nahin hai ki mana loge ise
ruTh jaega to phir lauT ke aane ka nahin
ghar pe aae hue mehman se munh pherte ho
ye tariqa to sharifon ke gharane ka nahin
in hawaon ki ianat bhi zaruri hai 'shakil'
masala sirf charaghon ko jalane ka nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.