baaten karne mein to duniya mein sabhi hoshyar the
bāteñ karne meñ to duniyā meñ sabhī hoshyār the
saath dete mushkiloñ meñ vo to bas do-chār the
ham se jo karte rahe vā'de hamesha be-shumār
vaqt paḌne par mukarne ko sadā tayyār the
zindagī ne ham ko dī haiñ ne'mateñ yuuñ to bahut
un kā sadupyog karne se hamīñ lāchār the
log jo apne farā.ez se rahe ġhāfil sadā
māñgte phir kis liye apne sabhī adhikār the
dete rahte the duhā.ī jo hamesha pyaar kī
pyaar kī rāhoñ meñ vo ban kar khaḌe dīvār the
vaqt-e-āḳhir koī aatā hai kisī ke kaam kab
kaam aa.e jo mire vo mere hī upkār the
haiñ 'ajab dastūr mere desh meñ ye in dinoñ
ghar meñ chorī jo kareñ vo ghar ke pahre-dār the
baaten karne mein to duniya mein sabhi hoshyar the
sath dete mushkilon mein wo to bas do-chaar the
hum se jo karte rahe wa'de hamesha be-shumar
waqt paDne par mukarne ko sada tayyar the
zindagi ne hum ko di hain ne'maten yun to bahut
un ka sadupyog karne se hamin lachaar the
log jo apne faraez se rahe ghafil sada
mangte phir kis liye apne sabhi adhikar the
dete rahte the duhai jo hamesha pyar ki
pyar ki rahon mein wo ban kar khaDe diwar the
waqt-e-aKHir koi aata hai kisi ke kaam kab
kaam aae jo mere wo mere hi upkar the
hain 'ajab dastur mere desh mein ye in dinon
ghar mein chori jo karen wo ghar ke pahre-dar the
- Book : Rehguzar (Pg. 70)
- Author : Shobha Kukkal
- Publication : Kalpant publication B-2 Mansrovar park shahdra delhi-32 (2012-2013)
- Edition : 2012-2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.