baaton baaton mein baDe hi pyar se chhiDka namak
bātoñ bātoñ meñ baḌe hī pyaar se chhiḌkā namak
zaḳhm dushman kī atā ahbāb kā tohfa namak
mausam-e-ġham meñ sadā hotā rahā paidā namak
jazr-o-mad dil meñ uThe aur aañkh se barsā namak
zabt jab bhī TūTne kī had talak baḌhne lagā
halq meñ gole kī sūrat bārhā aTkā namak
bhuul baiThe haiñ namak kā paas rakhnā log ab
jis taraf bhī dekhiye hai us taraf bikhrā namak
ham na kahte the munāfiq se na kariye dostī
kar diyā āḳhir ko us ne aap kā rusvā namak
ḳhud pe jab biitī to 'ġhālib' kā kahā yaad aa gayā
zaḳhm se girtā to maiñ palkoñ se chuntā thā namak
baaton baaton mein baDe hi pyar se chhiDka namak
zaKHm dushman ki ata ahbab ka tohfa namak
mausam-e-gham mein sada hota raha paida namak
jazr-o-mad dil mein uThe aur aankh se barsa namak
zabt jab bhi TuTne ki had talak baDhne laga
halq mein gole ki surat barha aTka namak
bhul baiThe hain namak ka pas rakhna log ab
jis taraf bhi dekhiye hai us taraf bikhra namak
hum na kahte the munafiq se na kariye dosti
kar diya aaKHir ko us ne aap ka ruswa namak
KHud pe jab biti to 'ghaalib' ka kaha yaad aa gaya
zaKHm se girta to main palkon se chunta tha namak
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.