bātoñ bātoñ meñ kiyā ḳhuuñ aaj ik dil-gīr kā
vaah kyā kahnā tirī rañgīnī-e-taqrīr kā
be-sabab kab hai taḌapnā āshiq-e-dil-gīr kā
siine se paikāñ nikaltā hai tumhāre tiir kā
nau giraftāroñ kī vahshat kā bhī ho kuchh imtihāñ
aaj sunñā chāhiye naala na.ī zanjīr kā
bā.is-e-hairat huā bīmāri-e-dil kā asar
dekho ab to rañg uḌtā hai mirī tasvīr kā
bas bas ai zālim kahāñ tak imtihān-e-zabt-e-āh
ab to dam ghuTne lagā hai āshiq-e-dil-gīr kā
mar gayā hai aap kā vahshī udāsī chhā.ī hai
dīdanī hai aaj aalam ḳhāna-e-zanjīr kā
dil bhī dhaḌkā aap kā zulfeñ bhī bal khāne lagīñ
aur abhī zindāñ meñ naala hai mirī zanjīr kā
baaton baaton mein kiya KHun aaj ek dil-gir ka
wah kya kahna teri rangini-e-taqrir ka
be-sabab kab hai taDapna aashiq-e-dil-gir ka
sine se paikan nikalta hai tumhaare tir ka
nau giraftaron ki wahshat ka bhi ho kuchh imtihan
aaj sunna chahiye nala nai zanjir ka
bais-e-hairat hua bimari-e-dil ka asar
dekho ab to rang uDta hai meri taswir ka
bas bas ai zalim kahan tak imtihan-e-zabt-e-ah
ab to dam ghuTne laga hai aashiq-e-dil-gir ka
mar gaya hai aap ka wahshi udasi chhai hai
didani hai aaj aalam KHana-e-zanjir ka
dil bhi dhaDka aap ka zulfen bhi bal khane lagin
aur abhi zindan mein nala hai meri zanjir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.