baaton baaton mein Tut jate hain
bātoñ bātoñ meñ Tuut jaate haiñ
ḳhvāb āñkhoñ meñ Tuut jaate haiñ
ḳhud ko ham joḌne kī ḳhvāhish meñ
kitne ḳhānoñ meñ Tuut jaate haiñ
Tuut jaate haiñ zehn meñ hī ḳhayāl
ham ḳhayāloñ meñ Tuut jaate haiñ
ḳhud ko manzil samajhne vaale qadam
rahguzāroñ meñ Tuut jaate haiñ
kaise kaise falak irādoñ ke
bas irādoñ meñ Tuut jaate haiñ
jaane kaise zamīn ke taare
āsmānoñ meñ Tuut jaate haiñ
ik nazar aur saikḌoñ manzar
ham nazāroñ meñ Tuut jaate haiñ
matn meñ TūTte haiñ kuchh afkār
kuchh havāloñ meñ Tuut jaate haiñ
baaton baaton mein Tut jate hain
KHwab aankhon mein Tut jate hain
KHud ko hum joDne ki KHwahish mein
kitne KHanon mein Tut jate hain
Tut jate hain zehn mein hi KHayal
hum KHayalon mein Tut jate hain
KHud ko manzil samajhne wale qadam
rahguzaron mein Tut jate hain
kaise kaise falak iradon ke
bas iradon mein Tut jate hain
jaane kaise zamin ke tare
aasmanon mein Tut jate hain
ek nazar aur saikDon manzar
hum nazaron mein Tut jate hain
matn mein TuTte hain kuchh afkar
kuchh hawalon mein Tut jate hain
- Book : Ishq (Pg. 30)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.