baaton ke nagar se aa rahe hain
bātoñ ke nagar se aa rahe haiñ
ham apne hī ghar se aa rahe haiñ
lafzoñ ke tulūa kar ke āfāq
ma.anī ke safar se aa rahe haiñ
ḳhāmoshiyāñ bhar ke tan-badan meñ
ham barq o sharar se aa rahe haiñ
tāroñ ke ye jitne qāfile haiñ
imkān-e-sahar se aa rahe haiñ
in ashkoñ kā dil se kyā ta.alluq
ye sho.ale jigar se aa rahe haiñ
bhīge hue ġham meñ sar se pā tak
dariyā-e-hunar se aa rahe haiñ
jitne bhī haiñ lutf-e-jāñ ke mausam
sab dīda-e-tar se aa rahe haiñ
ye ġham ke tuyūr be-tahāshā
ik dil ke shajar se aa rahe haiñ
'mashkūr' haiñ kis ḳhayāl meñ mast
be-ḳhauf-o-ḳhatar se aa rahe haiñ
baaton ke nagar se aa rahe hain
hum apne hi ghar se aa rahe hain
lafzon ke tulua kar ke aafaq
mani ke safar se aa rahe hain
KHamoshiyan bhar ke tan-badan mein
hum barq o sharar se aa rahe hain
taron ke ye jitne qafile hain
imkan-e-sahar se aa rahe hain
in ashkon ka dil se kya talluq
ye shoale jigar se aa rahe hain
bhige hue gham mein sar se pa tak
dariya-e-hunar se aa rahe hain
jitne bhi hain lutf-e-jaan ke mausam
sab dida-e-tar se aa rahe hain
ye gham ke tuyur be-tahasha
ek dil ke shajar se aa rahe hain
'mashkur' hain kis KHayal mein mast
be-KHauf-o-KHatar se aa rahe hain
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 149)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 5,6 April To Sep. 1998)
- Edition : Issue No. 5,6 April To Sep. 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.