baaton mein bahut gahrai hai, lahje mein baDi sachchai hai
bātoñ meñ bahut gahrā.ī hai, lahje meñ baḌī sachchā.ī hai
sab bāteñ phūloñ jaisī haiñ, āvāz madhur shahnā.ī hai
ye būñdeñ pahlī bārish kii, ye soñdhī ḳhushbū maaTī kī
ik koyal baaġh meñ kuukī hai, āvāz yahāñ tak aa.ī hai
badnām bahut hai rāh-guzar, ḳhāmosh nazar, bechain safar
ab gard jamī hai ā.ankhoñ meñ aur duur talak rusvā.ī hai
dil ek musāfir hai be-bas, jise noch rahe haiñ pesh-o-pas
ik dariyā pīchhe bahtā hai aur aage gahrī khaa.ī hai
ab ḳhvāb nahīñ kam-ḳhvāb nahīñ, kuchh jiine ke asbāb nahīñ
ab ḳhvāhish ke tālāb pe har sū māyūsī kī kaa.ī hai
pahle kabhī mahfil jamtī thī mahfil meñ kahīñ tum hote the
ab kuchh bhī nahīñ yādoñ ke sivā, bas maiñ huuñ mirī tanhā.ī hai
baaton mein bahut gahrai hai, lahje mein baDi sachchai hai
sab baaten phulon jaisi hain, aawaz madhur shahnai hai
ye bunden pahli barish ki, ye sondhi KHushbu maTi ki
ek koyal bagh mein kuki hai, aawaz yahan tak aai hai
badnam bahut hai rah-guzar, KHamosh nazar, bechain safar
ab gard jami hai aaankhon mein aur dur talak ruswai hai
dil ek musafir hai be-bas, jise noch rahe hain pesh-o-pas
ek dariya pichhe bahta hai aur aage gahri khai hai
ab KHwab nahin kam-KHwab nahin, kuchh jine ke asbab nahin
ab KHwahish ke talab pe har su mayusi ki kai hai
pahle kabhi mahfil jamti thi mahfil mein kahin tum hote the
ab kuchh bhi nahin yaadon ke siwa, bas main hun meri tanhai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.