baaton se teri baat ki KHushbu nikal paDe
bātoñ se terī baat kī ḳhushbū nikal paḌe
pahchān kā kahīñ koī pahlū nikal paḌe
kam-kam kahūñ maiñ sher sunā.ūñ bahut hī kam
kyā jo kisī ġhazal se kabhī tū nikal paḌe
bosa kahā thā aap ne abrū chaḌhā liye
itnī zarā sī baat pe chāqū nikal paḌe
is baar us ne aap se tum kah diyā hameñ
aisī ḳhushī ki aañkh se aañsū nikal paḌe
kahte haiñ raushnī kī hifāzat kareñge ham
sūraj kī dekh-bhāl ko jugnū nikal paḌe
kānoñ meñ ras thī gholtī santoñ kī bāniyāñ
tirshūl le ke aaj ke sādhū nikal paḌe
iflās ke libās meñ ye baat hai agar
shāhāna ān-bān se urdu nikal paḌe
jab diin kī madad ko pukārā gayā 'hafīz'
phāñkā na apne haath kā sattū nikal paḌe
baaton se teri baat ki KHushbu nikal paDe
pahchan ka kahin koi pahlu nikal paDe
kam-kam kahun main sher sunaun bahut hi kam
kya jo kisi ghazal se kabhi tu nikal paDe
bosa kaha tha aap ne abru chaDha liye
itni zara si baat pe chaqu nikal paDe
is bar us ne aap se tum kah diya hamein
aisi KHushi ki aankh se aansu nikal paDe
kahte hain raushni ki hifazat karenge hum
suraj ki dekh-bhaal ko jugnu nikal paDe
kanon mein ras thi gholti santon ki baniyan
tirshul le ke aaj ke sadhu nikal paDe
iflas ke libas mein ye baat hai agar
shahana aan-ban se urdu nikal paDe
jab din ki madad ko pukara gaya 'hafiz'
phanka na apne hath ka sattu nikal paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.