baz aa baad-e-bahaaran ye shararat kya hai
baaz aa bād-e-bahārāñ ye sharārat kyā hai
dekh to nargis-e-bīmār kī hālat kyā hai
us ne bhī ‘aks-e-ruḳh-e-yār kī jur.at kī thī
dekhiye hālat-e-ā.īna-e-hairat kyā hai
tujh ko vā'iz mirī dozaḳh kā koī 'ilm nahīñ
mujh ko mā'lūm hai lekin tirī jannat kyā hai
tū mire pesh-e-nazar ho jo tasavvur meñ to bas
merī nazroñ meñ zamāne kī haqīqat kyā hai
aaj vo mā.il-e-sad-lutf-o-karam haiñ 'betāb'
kaash maiñ jāntā ki vaj.h-e-'ināyat kyā hai
baz aa baad-e-bahaaran ye shararat kya hai
dekh to nargis-e-bimar ki haalat kya hai
us ne bhi ‘aks-e-ruKH-e-yar ki jurat ki thi
dekhiye haalat-e-aina-e-hairat kya hai
tujh ko wa'iz meri dozaKH ka koi 'ilm nahin
mujh ko ma'lum hai lekin teri jannat kya hai
tu mere pesh-e-nazar ho jo tasawwur mein to bas
meri nazron mein zamane ki haqiqat kya hai
aaj wo mail-e-sad-lutf-o-karam hain 'betab'
kash main jaanta ki wajh-e-'inayat kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.