baz aaya main dil-e-nakaam se
baaz aayā maiñ dil-e-nākām se
rote rote sub.h kar dī shaam se
ham-nashīñ vāraftagī-e-shauq meñ
kaun Dartā hai bhalā anjām se
dāstān-e-ġham har ik se kyā kahūñ
kahnā paḌtā hai ki huuñ ārām se
rahne diije chārā-jūī hai fuzūl
so gayā bīmār-e-ġham ārām se
baz aaya main dil-e-nakaam se
rote rote subh kar di sham se
ham-nashin waraftagi-e-shauq mein
kaun Darta hai bhala anjam se
dastan-e-gham har ek se kya kahun
kahna paDta hai ki hun aaram se
rahne dije chaara-jui hai fuzul
so gaya bimar-e-gham aaram se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.