baz auqat mujhko lagta hai
ba.az auqāt mujh ko lagtā hai
zindagī bas nazar kā dhokā hai
peḌ paude girā diye jis ne
us havā meñ charāġh rakkhā hai
dekh dariyā isī ko kahte haiñ
jo kināroñ meñ rah ke bahtā hai
ik musavvir ko jāntā huuñ maiñ
dasht meñ jo shajar banātā hai
us kī ta.abīr kā banegā kyā
maiñ ne jo ḳhvāb ḳhud tarāshā hai
raushnī ke qarīb jitnā huuñ
qad meñ utnā hī merā saaya hai
kuchh nazāre zarūrī hote haiñ
varna āñkhoñ meñ dard rahtā hai
ham ko milne vo ā.eñge 'āriz'
haañ magar ye ḳhayāl achchhā hai
baz auqat mujh ko lagta hai
zindagi bas nazar ka dhoka hai
peD paude gira diye jis ne
us hawa mein charagh rakkha hai
dekh dariya isi ko kahte hain
jo kinaron mein rah ke bahta hai
ek musawwir ko jaanta hun main
dasht mein jo shajar banata hai
us ki tabir ka banega kya
main ne jo KHwab KHud tarasha hai
raushni ke qarib jitna hun
qad mein utna hi mera saya hai
kuchh nazare zaruri hote hain
warna aankhon mein dard rahta hai
hum ko milne wo aaenge 'ariz'
han magar ye KHayal achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.