bazar-e-mohabbat mein sharminda sharafat hai
bāzār-e-mohabbat meñ sharminda sharāfat hai
phūloñ kī numā.ish hai ḳhushbū kī tijārat hai
hañste hue gulshan ko pal bhar meñ rulā Daale
āvāra havāoñ meñ aisī bhī mahārat hai
ta.amīr kā jazba bhī taḳhrīb kā naqsha bhī
ye shauq-e-shahādat hai yā zauq-e-baġhāvat hai
bujhte hue añgāre paiġhām ye dete haiñ
sho.aloñ se ulajhne kī shabnam meñ jasārat hai
auqāt kī had se vo aage nahīñ baḌh saktā
qismat kī hathelī par raushan ye ibārat hai
ash.ār 'asar' mere mansūb usī se haiñ
jis fikr-e-rasā kī bhī añgḌā.ī qayāmat hai
bazar-e-mohabbat mein sharminda sharafat hai
phulon ki numaish hai KHushbu ki tijarat hai
hanste hue gulshan ko pal bhar mein rula Dale
aawara hawaon mein aisi bhi mahaarat hai
tamir ka jazba bhi taKHrib ka naqsha bhi
ye shauq-e-shahadat hai ya zauq-e-baghawat hai
bujhte hue angare paigham ye dete hain
shoalon se ulajhne ki shabnam mein jasarat hai
auqat ki had se wo aage nahin baDh sakta
qismat ki hatheli par raushan ye ibarat hai
ashaar 'asar' mere mansub usi se hain
jis fikr-e-rasa ki bhi angDai qayamat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.