bazar mein ek hum hi zarurat ke nahin the
bāzār meñ ik ham hī zarūrat ke nahīñ the
bikte bhī to kaise kisī qīmat ke nahīñ the
ham ek hī mā'būd rakhā karte the jab tak
ham meñ kabhī jhagḌe qad-o-qāmat ke nahīñ the
ilhām se ik ḳhaas ta'alluq thā hamārā
ham log magar 'ahd-e-nubuvvat ke nahīñ the
is baar hī kyoñ Tuut ga.e us se bichhaḌ kar
is baar to rishte bhī mohabbat ke nahīñ the
us ne to ka.ī baar qadam ghar se nikāle
ham meñ hī jarāsīm baġhāvat ke nahīñ the
bazar mein ek hum hi zarurat ke nahin the
bikte bhi to kaise kisi qimat ke nahin the
hum ek hi ma'bud rakha karte the jab tak
hum mein kabhi jhagDe qad-o-qamat ke nahin the
ilham se ek KHas ta'alluq tha hamara
hum log magar 'ahd-e-nubuwwat ke nahin the
is bar hi kyon Tut gae us se bichhaD kar
is bar to rishte bhi mohabbat ke nahin the
us ne to kai bar qadam ghar se nikale
hum mein hi jarasim baghawat ke nahin the
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 81)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.