bazar mein wo barda-faroshon ki Toliyan
bāzār meñ vo barda-faroshoñ kī Toliyāñ
manDī meñ lag rahī haiñ ġhulāmoñ kī boliyāñ
sattar baras se hai ye hukūmat kā mashġhala
detī hai sub.h-shām hameñ roz goliyāñ
gāñTheñ hamārī jaan kā āzār ho ga.iiñ
hāthoñ se de ke ham ne jo dāñtoñ se kholiyāñ
kab tak bane raheñge tumhāre huzūr meñ
insāniyat ke naam pe ham DanDā-Doliyāñ
Tapkā rahī haiñ ras vo abhī tak halaq meñ bhī
kānoñ meñ vo jo shahd sī bāteñ haiñ gholiyāñ
kyā rang lag rahe haiñ tumhārī duāoñ ko
lekin hamārī aaj bhī ḳhālī haiñ jholiyāñ
shahroñ kī bhiiḌ bhaaḌ se matlab nahīñ hameñ
jangal meñ jā ke dil ne dukāneñ haiñ kholiyāñ
tinkoñ se bhī ye hastiyāñ halkī lagīñ hameñ
mīzān meñ zamīr ke jab bhī haiñ toliyāñ
sonā ugalne vaalī zamīnoñ ko kyā huā
tarsī haiñ daane daane ko kaise bhaḌauliyāñ
shāyad ho ek-ādh kahīñ par gaḌī huī
siine pe kaan dhar ke thiiñ sāñseñ TaToliyāñ
bhartā huuñ sub.h-shām tire intizār meñ
āñkheñ hoñ jis tarah se tumhārī ghaḌoliyāñ
ham ne baḌe buzurgoñ kī dastār kī tarah
qadreñ burī tarah se purānī haiñ roliyāñ
bazar mein wo barda-faroshon ki Toliyan
manDi mein lag rahi hain ghulamon ki boliyan
sattar baras se hai ye hukumat ka mashghala
deti hai subh-sham hamein roz goliyan
ganThen hamari jaan ka aazar ho gain
hathon se de ke hum ne jo danton se kholiyan
kab tak bane rahenge tumhaare huzur mein
insaniyat ke nam pe hum DanDa-Doliyan
Tapka rahi hain ras wo abhi tak halaq mein bhi
kanon mein wo jo shahd si baaten hain gholiyan
kya rang lag rahe hain tumhaari duaon ko
lekin hamari aaj bhi KHali hain jholiyan
shahron ki bhiD bhaD se matlab nahin hamein
jangal mein ja ke dil ne dukanen hain kholiyan
tinkon se bhi ye hastiyan halki lagin hamein
mizan mein zamir ke jab bhi hain toliyan
sona ugalne wali zaminon ko kya hua
tarsi hain dane dane ko kaise bhaDauliyan
shayad ho ek-adh kahin par gaDi hui
sine pe kan dhar ke thin sansen TaToliyan
bharta hun subh-sham tere intizar mein
aankhen hon jis tarah se tumhaari ghaDoliyan
hum ne baDe buzurgon ki dastar ki tarah
qadren buri tarah se purani hain roliyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.