bazgasht chaar-su sadaon ki
bāzgasht chār-sū sadāoñ kī
baat kyā kījiye nazāroñ kī
dil meñ ḳhushbū basī hai sandal kī
raqs kartī huī fazāoñ kī
saat rañgoñ kī qaus hai har sū
phuul dar phuul in qatāroñ kī
qissa-e-hijr kī kahānī meñ
baat hai sirf chāñd tāroñ kī
ham ne oḌhī hai ik siyāh chādar
aap ke zulf kī ghaTāoñ kī
husn kā kyā muvāzana kiije
ḳhud vazāhat ho tum bahāroñ kī
dhuup jaisī tamāzateñ har dam
baat hī aur maañ kī chhāñv kī
ham ne to ḳhud pe inhisār kiyā
koī hājat nahīñ sahāroñ kī
bazgasht chaar-su sadaon ki
baat kya kijiye nazaron ki
dil mein KHushbu basi hai sandal ki
raqs karti hui fazaon ki
sat rangon ki qaus hai har su
phul dar phul in qataron ki
qissa-e-hijr ki kahani mein
baat hai sirf chand taron ki
hum ne oDhi hai ek siyah chadar
aap ke zulf ki ghaTaon ki
husn ka kya muwazana kije
KHud wazahat ho tum bahaaron ki
dhup jaisi tamazaten har dam
baat hi aur man ki chhanw ki
hum ne to KHud pe inhisar kiya
koi hajat nahin sahaaron ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.