bazi agarche zist ki hum haar to gae
baazī agarche ziist kī ham haar to ga.e
lekin jo dil pe naqsh the āzār to ga.e
kitne shanāvaroñ ko ye dariyā nigal gayā
tuġhyāniyoñ meñ duub ke ham paar to ga.e
bārish kā zor hai mire ḳhasta makān par
lagtā hai ab ke ye dar-o-dīvār to ga.e
ham log ab qadīm numā.ish kī chiiz haiñ
bāzār se ab apne ḳharīdār to ga.e
vo darmiyāñ ġhazal ke jo uTh kar chalā gayā
ai bazm-e-shā'irī tire me'yār to ga.e
lagtā hai ab ke jaan hī jā.egī ek din
is shā'irī ke shauq meñ ghar-bār to ga.e
chal ai 'nafas' ki ham bhī kahīñ aur jā baseñ
do-chār the jo shahr meñ ġham-ḳhvār to ga.e
bazi agarche zist ki hum haar to gae
lekin jo dil pe naqsh the aazar to gae
kitne shanawaron ko ye dariya nigal gaya
tughyaniyon mein dub ke hum par to gae
barish ka zor hai mere KHasta makan par
lagta hai ab ke ye dar-o-diwar to gae
hum log ab qadim numaish ki chiz hain
bazar se ab apne KHaridar to gae
wo darmiyan ghazal ke jo uTh kar chala gaya
ai bazm-e-sha'iri tere me'yar to gae
lagta hai ab ke jaan hi jaegi ek din
is sha'iri ke shauq mein ghar-bar to gae
chal ai 'nafas' ki hum bhi kahin aur ja basen
do-chaar the jo shahr mein gham-KHwar to gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.