bazu-e-na-tawan mein jumbish to dekhiye
bāzū-e-nā-tavān meñ jumbish to dekhiye
sham-e-fasurda se uThī sozish to dekhiye
apne hī dā.eroñ meñ sabhī dauḌte phireñ
is daur kī riyāzat-e-varzish to dekhiye
mazlūm par hī lagte hoñ ilzām jab yahāñ
is dahr meñ fuzūl kī pursish to dekhiye
barsoñ se gūñge-pan kī hameñ miltī rahī daad
ham par hukūmatoñ kī navāzish to dekhiye
āsūdgī jahāñ pe numāyāñ thī ab talak
barpā hai kis qadar vahāñ shorish to dekhiye
bhaTke jo apnī raah se sālār-e-qāfila
sābit-qadam hujūm kī larzish to dekhiye
māñgī nahīñ thī mahr-e-tavajjoh kabhī magar
be-vaj.h ye sazā ye nikohish to dekhiye
le kar zamīñ ke TukḌe ye 'dushyant' se udhār
ḳhud apnā ghar banāne kī koshish to dekhiye
bazu-e-na-tawan mein jumbish to dekhiye
sham-e-fasurda se uThi sozish to dekhiye
apne hi daeron mein sabhi dauDte phiren
is daur ki riyazat-e-warzish to dekhiye
mazlum par hi lagte hon ilzam jab yahan
is dahr mein fuzul ki pursish to dekhiye
barson se gunge-pan ki hamein milti rahi dad
hum par hukumaton ki nawazish to dekhiye
aasudgi jahan pe numayan thi ab talak
barpa hai kis qadar wahan shorish to dekhiye
bhaTke jo apni rah se salar-e-qafila
sabit-qadam hujum ki larzish to dekhiye
mangi nahin thi mahr-e-tawajjoh kabhi magar
be-wajh ye saza ye nikohish to dekhiye
le kar zamin ke TukDe ye 'dushyant' se udhaar
KHud apna ghar banane ki koshish to dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.